va.ada sachcha hai ki jhuTa mujhe ma.alum na tha
kal badal ja.egi duniya mujhe ma.alum na tha
husn hai mashghala-e-zulm ko gahra parda
pas-e-parda hai andhera mujhe ma.alum na tha
ishq vo shai hai ki charke bhi maza dete hain
varna qatil hain hasin kya mujhe ma.alum na tha
dil ki zid is liye rakh li thi ki aa jaa.e qarar
kal ye kuchh aur kahega mujhe ma.alum na tha
jhuTi ummidon ne kya kya na hare baagh laga.e
vaqt jhonka hai hava ka mujhe ma.alum na tha
jitne qismat ke sahare the vo jhuTe nikle
hai bandhi muTThiyon men kya mujhe ma.alum na tha
barson bhaTka kiya aur phir bhi na un tak pahuncha
ghar to ma.alum tha rasta mujhe ma.alum na tha
raz-e-gham faash na ho is liye roki thi zaban
chup bhi rah kar yahi hoga mujhe ma.alum na tha
dil maze leta hai jis gham ke vo hai kahish-e-jan
zahr bhi hota hai miTha mujhe ma.alum na tha
ishq-abad ke naake hi se ruḳhsat hue hosh
hai ye divanon ki duniya mujhe ma.alum na tha
hoga imroz ki surat men zuhur-e-farda
va.ada yuun roz Talega mujhe ma.alum na tha
aarzu haan bhi hasinon ki nahin hoti hai
in ki har baat hai dhoka mujhe ma.alum na tha
Leave a Reply