bande zamin aur asman sarma ki shab kahaniyan
sachchi hain ye rifaqaten baaqi hain sab kahaniyan
kheme ukhad ujad gae aisi hava-e-shab chali
kirnen zamin pe likh gaiin kaisi ajab kahaniyan
vusat-e-dasht ke makin vaadi men kuuch kar gae
shakhon pe barf likh gai naghma-ba-lab kahaniyan
chand ki khaak aa gai pairon tale hayat ke
aisi kathin rivayaten aisi kadhab kahaniyan
jauhar-e-haq nahin mila mujh ko kisi kitab men
mitti se sun raha huun main ali-nasab kahaniyan
vusat-e-koh-o-dasht ho shahr o nagar ka gasht ho
mera safar hikayaten mera adab kahaniyan
shahron ko kya khabar ki main kaun huun kis faza men huun
likhni hain ek din mujhe sabr-talab kahaniyan
Leave a Reply