husn faani hai javani ke fasane tak hai
par ye kam-baḳht mohabbat to zamane tak hai
vo milega to shanasa.i dilon tak hogi
ajnabiyyat to faqat samne aane tak hai
dasht men paanv dhara tha kabhi vahshat ke baghair
ab vahi ret mire a.ina-ḳhane tak hai
sha.eri piron faqiron ka vazifa tha kabhi
ab to ye kaam faqat naam kamane tak hai
chand gardun ko mayassar hai sahar hone tak
raqs-e-darvesh tire baam pe aane tak hai
main mohammad ke ghulamon ka ghulam ibn-e-ghulam
aise nisbat usi pakiza gharane tak hai
Leave a Reply