vo kahte hain yaqin laana paḌega
ye dhoka jaan kar khana paḌega
zamane ko badalna ham ne Thana
zamane ko badal jaana paḌega
salamat hai hamara jazb-e-ulfat
tum aaoge tumhen aana paḌega
yahi marzi hai us aram-e-jan ki
hamen ab jaan se jaana paḌega
dil-e-nadan samajh ja.ega lekin
dil-e-nadan ko samjhana paḌega
adu ke naaz uThte kaun dekhe
tiri mahfil men uTh jaana paḌega
nahin ai sang-e-dil haan vo nahin tu
kiye par jis ko pachhtana paḌega
baḌa bad-rah hai charḳh-e-sitamgar
use ab raah par laana paḌega
paḌa hai ai ‘vafa’ paala buton se
ḳhuda ko darmiyan laana paḌega
Leave a Reply