fasl-e-gul meñ bhī tahī kyoñ na ho dāman apnā
bāġhbāñ apnā fazā apnī na gulshan apnā
jurm-e-nā-shukr-guzārī kī sazā kuchh to mile
apne hāthoñ se luTāyā thā nasheman apnā
barq-bārī hī sahī jashn-e-charāġhāñ na sahī
ek lamhe ke liye ghar to ho raushan apnā
ab to āvāz-e-tanaffus pe ye hotā hai gumāñ
jaise maiñ marsiyāñ-ḳhvāñ huuñ sarmad-e-fan apnā
karūñ kis dil se bahāroñ kī tamannā ‘at.har’
maiñ to phūloñ se jalā baiThā huuñ dāman apnā