• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wo Kahan Sath Sulate Hain Mujhe

Wo Kahan Sath Sulate Hain Mujhe

momin-khan-momin

vo kahan saath sulate hain mujhe

khvab kya kya nazar aate hain mujhe

us pari-vash se lagate hain mujhe

log divana banate hain mujhe

ya rab un ka bhi janaza utthe

yaar us ku se uthate hain mujhe

abru-e-tegh se iima hai ki aa

qatl karne ko bulate hain mujhe

bevafai ka udu ki hai gila

lutf men bhi vo satate hain mujhe

hairat-e-husn se ye shakl bani

ki vo aina dikhate hain mujhe

phunk de atish-e-dil daagh mire

us ki khu yaad dilate hain mujhe

gar kahe ghamza kise qatl karun

to isharat se batate hain mujhe

main to us zulf ki bu par ghash huun

charagar mushk sunghate hain mujhe

shola-ru kahte hain aghyar ko vo

apne nazdik jalate hain mujhe

jaan gai par na gai jaur-kashi

bad-e-murdan bhi dabate hain mujhe

vo jo kahte hain tujhe aag lage

muzhda-e-vasl sunate hain mujhe

ab ye surat hai ki ai parda-nashin

tujh se ahbab chhupate hain mujhe

‘momin’ aur dair khuda khair kare

taur bedhab nazar aate hain mujhe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

asrarul-haq-majaz

Allahabad Se

Ehsas Ke Sharar Ko Hua Dene Aaunga

Mutarannim Hai Meri Ruh Mein Yun Teri Sada

ajay-sahaab

Wahi Hain Qatl-O-Ghaarat Aur Wahi Kohram Hai Saqi

Jabin-E-Nawaz Kisi Ki Fusun-Gari Kyun Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet