Ranjishen Sab chhoD Din Sab Se laDai chhoD Di

ranjisheñ sab chhoḌ diiñ sab se laḌā.ī chhoḌ dī

aib thā sach bolnā maiñ ne burā.ī chhoḌ dī

kū-e-jānāñ meñ bhalā ab dekhne ko kyā milā

sun rahā huuñ aap ne bhī bevafā.ī chhoḌ dī

zehn meñ ubhre the yuuñ hī bevafā yāroñ ke naam

likhte likhte kyuuñ qalam ne raushnā.ī chhoḌ dī

ham se pūchho kis liye ḳhālī ḳhazāne ho ga.e

shahzādoñ ne faqīroñ kī gadā.ī chhoḌ dī

Leave a Comment