vo jo surat thi saath saath kabhi surḳh mahke gulab ki surat
us ki yaden utarti rahti hain zehn-o-dil pe azaab ki surat
ye ravayya sahi nahin hota yuun hamen kashmakash men mat Daalo
ya hamen sach ki tarah apna lo ya bhula bhi do ḳhvab ki surat
us ne an-dekha an-suna kar ke be-ta.alluq kiya hai to ab ham
us ki tasvir se nikalenge ansuon ke hisab ki surat
apni jhuTi ana ki baton men aa ke us ko sula to baiThe hain
ab hain sahraon ke musafir ham aur vo surat sarab ki surat
Leave a Reply