vo ik hasin kabhi tanha nahin nikalta hai
ki jaise chand akela nahin nikalta hai
har aadmi se vafa ki umiid mat rakkho
har ik zamin se sona nahin nikalta hai
gharon men charon taraf qumqume to raushan hain
magar dilon se andhera nahin nikalta hai
kuchh imtihan faqat imtihan hote hain
har imtihan ka natija nahin nikalta hai
kabhi kabhi badi mushkil se baat banti hai
ghazal ka sher hamesha nahin nikalta hai
hamare dard ki daulat faqat hamari hai
zamane ja tira hissa nahin nikalta hai
‘kamal’ ab to adu ki shanakht mushkil hai
har ek bam se falita nahin nikalta hai
Leave a Reply