vo charagh-e-zist ban kar raah men jalta raha
haath men vo haath le kar umr bhar chalta raha
ek aansu yaad ka tapka to dariya ban gaya
zindagi bhar mujh men ek tufan sa palta raha
janti huun ab use main pa nahin sakti magar
har jagah saae ki surat saath kyuun chalta raha
jo meri nazron se ojhal ho chuka muddat hui
vo khayalon men basa aur sher men dhalta raha
ranj tha ‘gulnar’ mujh ko us ko bhi afsos tha
der tak rota raha aur haath bhi malta raha
Leave a Reply