har shaḳh-e-gul ko be-sar-o-saman bana diya
yaron ne gulsitan ko bayaban bana diya
taḳhliq sab ki ek hai a.amal ne magar
kafir tujhe to mujh ko musalman bana diya
is jan-e-gulsitan ki tamanna ne ai nadim
mujh ko har ik chaman se gurezan bana diya
dushvar ho chuki thi mujhe zindagi magar
saqi-e-dil-navaz ne asan bana diya
‘asi’ ḳhuda ka shukr karo jis ke lutf ne
auron ke saath tum ko bhi insan bana diya
Leave a Reply