vo bichhad kar bhi kahan mujh se juda hota hai
ret par os se ik naam likha hota hai
khaak ankhon se lagai to ye ehsas hua
apni mitti se har ik shakhs juda hota hai
saari duniya ka safar khvab men kar daala hai
koi manzar ho mira dekha hua hota hai
main bhulana bhi nahin chahta is ko lekin
mustaqil zakhm ka rahna bhi bura hota hai
khauf men duube hue shahr ki qismat hai yahi
muntazir rahta hai har shakhs ki kya hota hai
Leave a Reply