josh par apni mastiyan aaiin
yaad kis ki ye shokhiyan aaiin
baton baton men le liya dil ko
tumhen kyun-kar ye phurtiyan aaiin
kahin un ko na yaad aaya huun
aaj kyuun mujh ko hichkiyan aaiin
donon aalam hue tah-o-bala
un ko kyuun khush-khiramiyan aaiin
ruk raha dam jo aa ke ankhon men
yaad kis but ki ankhdiyan aaiin
baal khole naha rahe the vo
kya hi ghir ghir ke badliyan aaiin
tum jo soe to talve sahlane
meri ankhon ki putliyan aaiin
phir lagate ho mehndi hathon men
yaad phir rang-reliyan aaiin
josh-e-vahshat ke din phir aa pahunche
muzhda ai dil ki bediyan aaiin
pad gaya haath jab gareban par
haath do-char dhajjiyan aaiin
nakhl-e-ummid barvar na hua
phuul aae na pattiyan aaiin
main ne furqat men aahen kiin do-char
log samjhe ki andhiyan aaiin
kal se dil ko jo kal nahin padti
yaad kis ki kalaiyan aaiin
main ne likkhe yahan se matlab-e-dil
vaan se likh likh ke galiyan aaiin
rukh pe boson ke ban gae hain nishan
ghaza maliye ki jhaiyan aaiin
hasb-e-vaada jo kal na aae tum
dil men lakhon buraiyan aaiin
aaya gulshan men jab vo sarv-e-sahi
gird phirne ko qumriyan aaiin
apne jiine se ho gai nafrat
yaad kis ki rukhaiyan aaiin
ji na lagna tha hasraton ke baghair
khush hua dil saheliyan aaiin
dil tadapne laga jo siine men
yaad kis but ki shokhiyan aaiin
ashk-e-hasrat nikal pade ‘anjum’
uttho uttho ki bundiyan aaiin
Leave a Reply