kaun si divaron se main takraya na
vaqt se aage lekin main ja paaya na
saare aqide habs ke maabad hain jin men
kabhi hava ka jhonka tak bhi aaya na
us ki yaad men saari umr ganva baitha
mera kabhi khayal bhi jis ko aaya na
us ne jab sannate ki divar chuni
tum ne bhi to us dam shor machaya na
jaane us ke lahje men kya jaadu tha
kisi ne us ki baton ko jhuthlaya na
bas ik kaabe ka patthar hi bacha ‘faqih’
varna mujh par kaun sa patthar aaya na
Leave a Reply