jaan ham tujh pe diya karte hain
naam tera hi liya karte hain
chaak karne ke liye ai naseh
ham gareban siya karte hain
saghar-e-chashm se ham bada-parast
mai-e-didar piya karte hain
zindagi zinda-dili ka hai naam
murda-dil khaak jiya karte hain
sang-e-asvad bhi hai bhari patthar
log jo chuum liya karte hain
kal na dega koi mitti bhi unhen
aaj zar jo ki diya karte hain
dafn mahbub jahan hain ‘nasikh’
qabren ham chuum liya karte hain
Leave a Reply