haram ko shaikh mat ja hai but-e-dil-khvah surat men
agar hai mard-e-maani dekh le allah surat men
nazar kar us ki tuk nairangiyon par chashm-e-hairat se
kahin gul hai kahin kanta kahin hai kaah surat men
sanam ki satr-e-abru katib-e-qudrat ne likhi hai
kalid-e-ilm-e-maani hai ye bismillah surat men
subu-o-jam par kam-zarf karte hain nazar varna
bane hain ek mitti ke gada o shaah surat men
mira vo tifl-e-abjad-khvan padhe kyunkar na ab hijje
baghair is qaede ke ho sake kab raah surat men
juda divar se kab taaq hai koi batao to
dikhai de hai pur-ahval ko do ik maah surat men
kar apne dil ko saiqal ai sikandar ta ho ye raushan
safa se aaine ke kab khalal hai aah surat men
gaya hoga taraf kaaba ki jo mahram nahin us se
ki haaji us ke aamad raft ki hai raah surat men
‘nasir’ us ki zaqan men band hai vo yusuf-e-kanan
nikalti hai azizo dekh lo kya chaah surat men
Leave a Reply