be-bulae hue jaana mujhe manzur nahin
un ka vo taur nahin mera ye dastur nahin
lan-tarani ke ye maani hain baja hai daava
dekhe be-parda tujhe koi ye maqdur nahin
vo kahan taaj kahan takht kahan maal o manal
qabil ab bhiik ke bhi kasa-e-faghfur nahin
be-ibadat na khuda bakhshega subhan-allah
aisi firdaus se ham guzre ki mazdur nahin
main vo mai-kash huun na rakkhun kabhi bhule se qadam
koi kah de ye agar khuld men angur nahin
dam-ba-dam uthte hain tufan jo ‘barq’ ashkon ke
nuuh ka vaqt nahin aankh hai tannur nahin
Leave a Reply