vo baat baat men itna badalta jaata hai
ki jis tarah koi lahja badalta jaata hai
ye aarzu thi ki ham us ke saath saath chalen
magar vo shakhs to rasta badalta jaata hai
ruten visal ki ab khvab hone vaali hain
ki us ki baat ka lahja badalta jaata hai
raha jo dhuup men sar par mire vahi anchal
hava chali hai to kitna badalta jaata hai
vo baat kar jise duniya bhi mo’tabar samjhe
tujhe khabar hai zamana badalta jaata hai
Leave a Reply