use apne fan pe jo maan tha so nahin raha
kabhi vo bhi jadu-bayan tha so nahin raha
mire lucknow tiri shakl kitni badal ga.i
ye jo shahr ahl-e-zaban tha so nahin raha
mujhe dusron ke muqable kiya mustarad
magar in dinon vo javan tha so nahin raha
na.e asman ki talash men main bhaTak ga.i
kabhi tu hi meri uḌaan tha so nahin raha
mire dil ki rut bhi tiri tarah hi badal ga.i
mujhe har ghaḌi tira dhyan tha so nahin raha
Leave a Reply