sang-e-jafa ka gham nahin dast-e-talab ka Dar nahin
apna hai us par ashiyan naḳhl jo barvar nahin
sunte ho ahl-e-qafila main koi rahbar nahin
dekh raha huun tum men se ek bhi raah par nahin
maut ka ghar hai asman is se kahin mafar nahin
niklen to koi dar nahin bhagen to rahguzar nahin
pahle jigar par aah ka naam na tha nishan na tha
aḳhir-e-kar ye hua aah to hai jigar nahin
sub.h-e-azal se ta-abad qissa na hoga ye tamam
jaur-e-falak ki dastan aisi bhi muḳhtasar nahin
barg-e-ḳhizan-rasida huun chheḌ na mujh ko ai nasim
zauq fughan ka hai mujhe shikva-e-abr-e-tar nahin
munkir-e-hashr hai kidhar dekhe tu aankh khol kar
hashr ki jo ḳhabar na de aisi koi sahar nahin
shabnam o gul ko dekh kar vajd na aa.e kis tarah
ḳhanda be-sabab nahin girya be-asar nahin
tere faqir ka ghurur tajvaron se hai siva
tarf-e-kulah men de shikan us ko ye dard-e-sar nahin
koshak o qasr o bam-o-dar tu ne bina kiye to kya
haif hai ḳhanuman-ḳharab dil men kisi ke gher nahin
nala-kashi raqib se meri tarah muhal hai
dil nahin hausla nahin zohra nahin jigar nahin
shatir-e-pir-e-asman vah-ri teri dastburd
ḳhusrav o kaiqibad ki tegh nahin kamar nahin
shaan karim ki ye hai haan se ho peshtar ata
lutf ata ka kya ho jab haan se ho peshtar nahin
laakh vo be-ruḳhi kare laakh vo kaj-ravi kare
kuchh to malal is ka ho dil ko mire magar nahin
sun ke bura na maniye sach ko na jhuuT janiye
zikr hai kuchh gila nahin baat hai neshtar nahin
Leave a Reply