is duniya men apna kya hai
kahne ko sab kuchh apna hai
yuun to shabnam bhi hai dariya
yuun to dariya bhi pyasa hai
yuun to hiira bhi hai kankar
yuun to mitti bhi sona hai
munh dekhe ki baten hain sab
kis ne kis ko yaad kiya hai
tere saath gai vo raunaq
ab is shahr men kya rakkha hai
baat na kar surat to dikha de
tera is men kya jaata hai
dhyan ke atish-dan men ‘nasir’
bujhe dinon ka dher pada hai
Leave a Reply