vo aur honge nufus be-dil jo kahkasha.en shumarte hain
ye raat hai puure chand ki ham tiri mohabbat hisarte hain
baḌi maharat se us ki sanson men naghmagi kar rahe hain paida
vo jitna anjan ban raha hai ham utna us ko niharte hain
tumhari nazron ka hai muqaddar ye jhiil ka pur-sukun paani
ham apni ankhon ke canvas par hazar maujen ubharte hain
sabhi musafir chalen agar ek ruḳh to kya hai maza safar ka
tum apne imkan talash kar lo mujhe parinde pukarte hain
tumhin se ‘sabir’ hui hai kotahi tirgi ki muhafizat men
suna nahin tha kabhi ye pahle ki jugnu shab-ḳhun marte hain
Leave a Reply