vo aksar baton baton men aghyar se puchha karte hain
ye sar-ba-gireban divane kis shai ka taqaza karte hain
ik din tha ki sahil par baiThe tufan pe tabassum karte the
ab mayusi ke aalam men sahil ka tamasha karte hain
ḳhatra hai vafa ke luTne ka majburi-e-dil bhi lazim hai
jiine ki tamanna karte hain marne ka taqaza karte hain
ma.asum sitamgar ki baten mazlum ada ke afsane
yuun raat basar ho jaati hai yuun dil ka mudava karte hain
jab nadani ka aalam tha hasil ki tamanna karte the
ab dil men aag lagate hain sho.alon ka tamasha karte hain
apne men rahe to rusva.i apne se ga.e to sauda.i
ham muddat se divangi-e-duniya ka tamasha karte hain
Leave a Reply