• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Haft Aflak Se Aage Kahin Kuchh Ho To Kahun

Haft Aflak Se Aage Kahin Kuchh Ho To Kahun

rumana-rumi

haft aflak se aage kahin kuchh ho to kahun

had-e-idrak se aage kahin kuchh ho to kahun

main ne jis zaat ko labbaik kaha hai us ke

jalva-e-pak se aage kahin kuchh ho to kahun

jis pe paivand hi paivand nazar aate the

aisi poshak se aage kahin kuchh ho to kahun

mujh se puchhe koi insan kahan tak pahuncha

azm-e-bebak se aage kahin kuchh ho to kahun

haan miri ziist ka hasil gham-e-dauran to nahin

chashm-e-namnak se aage kahin kuchh ho to kahun

jis taraf dekhiye virani hi virani hai

khas-o-khashak se aage kahin kuchh ho to kahun

har taraf ham-vatanon khun-kharabe ke siva

chashm-e-saffak se aage kahin kuchh ho to kahun

alam-e-khak miri zaat ka har zarra hai

alam-e-khak se aage kahin kuchh ho to kahun

mere aflak se aage to faqat huun main hi

mere aflak se aage kahin kuchh ho to kahun

jaan ka hai apni jagah ek tasavvur ‘rumi’

jasad-e-khak se aage kahin kuchh ho to kahun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Pagal Hawa Ke Dosh Pe Jins-E-Giran Na Rakh

Kahin Se Maut Ko Lao Ki Gham Ki Raat kaTe

Thokaren Khaiye Patthar Bhi uThate Chaliye

bilqis-zafirul-hasan

Hamari Jagti Aankhon Mein Khwab Sa Kya Tha

poet

Angdai Bhi Wo Lene Na Pae Utha Ke Hath

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet