sulh ke ba.ad mohabbat nahin kar sakta main
muḳhtasar ye ki vazahat nahin kar sakta main
dil tire hijr men sarshar hua phirta hai
ab kisi dasht men vahshat nahin kar sakta main
mere chehre pe hain ankhen mire siine men hai dil
is liye teri hifazat nahin kar sakta main
har taraf tu nazar aata hai jidhar jaata huun
tere imkan se hijrat nahin kar sakta main
itna tarsaya gaya mujh ko mohabbat se ki ab
ik mohabbat pe qana.at nahin kar sakta main
apna iman bhi tujhe saunp diya hai ‘anjum’
is se baḌh kar to saḳhavat nahin kar sakta main
Leave a Reply