• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Apne Khoe Hue Lamhat Ko Paya Tha Kabhi

Apne Khoe Hue Lamhat Ko Paya Tha Kabhi

apne kho.e hue lamhat ko paaya tha kabhi

main ne kuchh vaqt tire saath guzara tha kabhi

aap ko mere ta.aruf ki zarurat kya hai

main vahi huun ki jise aap ne chaha tha kabhi

ab agar ashk umanDte hain to pi jaata huun

hausla aap ke daman ne baḌhaya tha kabhi

ab usi giit ki lai soch rahi hai duniya

main ne jo giit tiri bazm men gaaya tha kabhi

meri ulfat ne kiya ghair ko maa.il varna

main tiri anjuman-e-naz men tanha tha kabhi

kar diya aap ki qurbat ne bahut duur mujhe

aap se buad ka ehsas na itna tha kabhi

dost nadan ho to dushman se bura hota hai

mujh ko apne dil-e-nadan pe bharosa tha kabhi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ek khiDki Gali Ki Khuli Raat Bhar

Sat Suron Ka Bahta Dariya Tere Nam

shahida-hasan

Chand Ke Sath Jal Uthi Main Bhi

noshi-gilani

Kaun Bhanwar Mein Mallahon Se Ab Takrar Karega

Uqde Ulfat Ke Sab Ai Rashk-E-Qamar Khol Diye

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet