vafa ke saath mohabbat men naam paida kar
yunhi jahan men qayam-e-davam paida kar
tire liye nahin kaunain men jo gunja.ish
kisi ke dil hi men ja-e-qayam paida kar
ho jis tarah guzar andhi ki tarah manzil se
qadam baḌha talab-e-tez-gam paida kar
ye anjum-o-mah-o-ḳhurshid ho chuke buḌhe
na.i tajalli-e-bala-e-bam paida kar
na reng mausami kiḌon ki tarah pasti par
falak se bhi koi uncha maqam paida kar
jis anjuman men guzar ho tira mahak jaa.e
saba ki tarah shagufta ḳhiram paida kar
bahut udaas hai ab rang-e-mahfil-e-hasti
jabin se sub.h to zulfon se shaam paida kar
ho ek haath men shamshir dusre men qalam
unhi ke zor se duniya men naam paida kar
nigah-e-mast se saghar bahut piye tu ne
ab aur hi koi ‘maḳhmur’ jaam paida kar
Leave a Reply