phir khabar garm hai vo jan-e-vatan aata hai
phir vo zindani-e-zindan-e-vatan aata hai
vo kharab-e-gul-o-raihan-e-vatan aata hai
misr se yusuf-e-kanan-e-vatan aata hai
”koi maashuq ba-sad-shaukat-o-naz aata hai
surkh bairaq hai samundar men jahaz aata hai”
rind-e-be-kaif ko thi bada-o-saghar ki talash
nazir-e-manzar-e-fitrat ko thi manzar ki talash
ek bhanvre ko khizan men thi gul-e-tar ki talash
khud sanam-khana-e-azar ko thi aazar ki talash
muzhda ai dost ki vo jan-e-bahar aa pahuncha!
apne daman men liye barq-o-sharar aa pahuncha!
apna parcham vo kuchh is andaz se lahrata hai
rang aghyar ke chehron se uda jaata hai
koi shadan, koi hairan, koi sharmata hai
kaun ye sahil-e-mashriq pe nazar aata hai
apne maikhane ka ik mai-kash-e-behal hai ye
haan vahi mard-e-javan-bakht o javan-sal hai ye
mard-e-sarkash tujhe aadam ki kahani ki qasam
ruh-e-insan ke taqaza-e-nihani ki qasam
jazba-e-aish ki har shorish-e-fani ki qasam
tujh ko apni isi bad-mast javani ki qasam
aa ki ik baar gale se to laga len tujh ko
apne aghosh-e-mohabbat men utha len tujh ko
nutq to ab bhi hai par shola-fishan hai ki nahin
soz-e-pinhan se tiri ruuh tapan hai ki nahin
tujh pe ye baar ghulami ka giran hai ki nahin
jism men khuun javani ka ravan hai ki nahin
aur agar hai to phir aa tere parastar hain ham
jins-e-azadi-e-insan ke kharidar hain ham
saaqi o rind tire hain mai-e-gulfam tiri
uth ki asuda hai phir hasrat-e-nakam tiri
barhaman tere hain kul millat-e-islam tiri
subh-e-kashi tiri, sangam ki hasin shaam tiri
dekh shamshir hai ye saaz hai ye jaam hai ye
tu jo shamshir utha le to bada kaam hai ye
dekh badla nazar aata hai gulistan ka saman
saghar o saaz na le, jang ke naare hain yahan
ye duaen hain vo mazlum ki aahon ka dhuan
mail-e-jang nazar aata hai har mard-e-javan
sarfaroshan-e-bala-kash ka sahara ban ja
uth aur aflak-e-baghavat ka sitara ban ja
Leave a Reply