juzv-o-kul ka ham is andaz se rishta samjhe
dekh kar qatre ko mahiyyat-e-dariya samjhe
har ada teri ham-ahang thi dil se itni
har ada ko tiri ham dil ka taqaza samjhe
ham vo ḳhud-bin hain ki hangama-e-dil ke aage
saare hangama-e-giti ko tamasha samjhe
ham ko miTTi ke gharondon ki haqiqat ma.alum
jism ki ḳhaak ko ham nafs ka saaya samjhe
ham ki har nisbat-e-mauhum ko apnate rahe
ik shikasta se ta.alluq ko bhi kitna samjhe
ustuvar itna hua rishta-e-avaz ‘akbar’
dil ki dhaḌkan ko bhi ham dost ka lahja samjhe