vo agar ḳhush hai to nashad nahin huun main bhi
kho ke us ko koi barbad nahin huun main bhi
us ki yadon se chamakte hain dar-o-bam mire
kaun kahta hai ki abad nahin huun main bhi
kyuun karun koh-kani kyuun main uTha.un tesha
vo ki shirin nahin farhad nahin huun main bhi
vo bhi paband hua rasm-o-rah-e-duniya ka
kuchh gham-e-dahr se azad nahin huun main bhi
us ko kab fikr rahi mazi-e-gum-gashta ki
phir ajab kya jo use yaad nahin huun main bhi
Leave a Reply