tafakkurat-e-zamana se ho ke begane
ye kis ḳhayal men uljhe hue hain divane
har ek hansta hai lekin ye koi kya jaane
ye ban ga.e ki bana.e ga.e hain divane
nigah-e-ishq men shah-o-gada barabar hain
nigah-e-ishq koi imtiyaz kya jaane
kisi ke uThne se suuni na hogi bazm koi
bahar-e-sham.a salamat hazar parvane
vahi jahan ke nasheb-o-faraz ko samjhe
chale jo rah-e-mohabbat ki Thokaren khane
yahan ḳhushi to nahin hai magar pa.e taskin
ghamon ka naam ḳhushi rakh liya hai duniya ne
ye janta huun ki tai kar raha huun rah-e-hayat
kahan pe hai miri manzil use ḳhuda jaane
fana hai sab ko in abadiyon pe naaz na kar
zaban-e-hal se ye kah rahe hain parvane
jo apne haath se koi pila de ai ‘sharib’
us ek jaam pe sadqe hazar paimane
Leave a Reply