• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dil Jae Magar Dhyan Buton Ka Nahin Jata

Dil Jae Magar Dhyan Buton Ka Nahin Jata

poet

dil jaa.e magar dhyan buton ka nahin jaata

sar jaa.e magar ishq ka sauda nahin jaata

sach kahte hain sab log mohabbat ko bura hai

hal-e-dil-e-bimar to dekha nahin jaata

ye kah ke vo balin se mire uTh ga.e afsos

kambaḳht tira haal to dekha nahin jaata

kya denge vo mere dil-e-sozan ko tasalli

siine pe mire haath to rakkha nahin jaata

tum chahte ho hosh men ashiq ko jo laana

kyon laḳhlaḳha-e-zulf sunghaya nahin jaata

tu samne mere nahin aata hai ye andher

ankhon hi men rah ke tira parda nahin jaata

ghash kha ke kalim ek hi jalve men gire tum

ab bhi arini ka tumhen da.ava nahin jaata

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Insha-Ji Hai Nam Unhi Ka Chaho to Tum Se Milwaen

Bahut Bar-E-Garan Ye Zindagi Malum Hoti Hai

Sada-E-Muzhda-E-La-Taqnatu Ke Dhaare Par

Sirf Ek Hadd-E-Nazar Ko Aasman Samjha Tha Main

qateel-shifai

Uktahat

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet