jab se hua hai ishq tire ism-e-zat ka
ankhon men phir raha hai muraqqaa najat ka
malik hi ke sukhan men talavvun jo paiye
kahiye yaqin laiye phir kis ki baat ka
daftar hamari umr ka dekhoge jab kabhi
fauran use karoge muraqqaa najat ka
ulfat men mar mite hain to puchhe hi jaenge
ik roz lutf uthaenge is vardat ka
surkhi ki khatt-e-shauq men hajat jahan hui
khun-e-jigar men nok duboya davat ka
mujid jo nuur ka hai vo mera charagh hai
parvana huun main anjuman-e-kaenat ka
ai sham-e-bazm-e-yar vo parvana kaun tha
lau men tiri ye daagh hai jis ki vafat ka
mujh se to lan-taraniyan us ne kabhi na kiin
muusi javab de na sake jis ki baat ka
is be-khudi ka denge khuda ko vo kya javab
dam bharte hain jo chand nafas ke hubab ka
qudsi hue mutia vo taaat bashar ne ki
kul ikhtiyar haq ne diya kaenat ka
aisa itab-nama to dekha suna nahin
aaya hai kis ke vaste suura barat ka
zi-ruh mujh ko tu ne kiya musht-e-khak se
banda rahunga main tire is iltifat ka
nachiz huun magar main huun un ka fasana-go
quran hamd-nama hai jin ki sifat ka
roya hai mera dida-e-tar kis shahid ko
mashhur ho gaya hai jo chashma furat ka
aae to aae alam-e-arvah se vahan
dam bhar jahan nahin hai bharosa sabat ka
dhuum us ke husn ki hai do-alam men ai ‘shraf’
khurshid roz ka hai vo mahtab raat ka
Leave a Reply