usi ki den hai gham men gila nahin karta
qubul ho ki na ho ab dua nahin karta
na ho malul bura vaqt sab pe aata hai
kisi ke saath zamana vafa nahin karta
tum aise achchhe ki achchhe nahin kisi ke saath
main vo bura ki kisi ka bura nahin karta
mile murad hamari magar mile bhi kahin
ḳhuda kare magar aisa ḳhuda nahin karta
Leave a Reply