kisi dasht o dar se guzarna bhi kya
hue khaak jab to bikharna bhi kya
vahi ik samundar vahi ik hava
miri shaam tera sanvarna bhi kya
lakiron ke hain khel sab zaviye
idhar se udhar paanv dharna bhi kya
mujhe uub si sab se hone lagi
ye jiina bhi kya aur marna bhi kya
agar un se bach kar nikal jaiye
to phir us ki ankhon se darna bhi kya
ghane jangalon ki bujhi kaise aag
kahin paas tha koi jharna bhi kya
kisi tarah se us ka ghar to mila
magar ab mulaqat karna bhi kya
Leave a Reply