vo ankhen jin se mulaqat ik bahana hua
unhen khabar hi nahin kaun kab nishana hua
sitara-e-sahari ka bharosa mat kiijo
nae safar men ye rakht-e-safar purana hua
na jaane kaun si atish men jal bujhe ham tum
yahan to jo bhi hua hai darun-e-khana hua
kuchh is tarah se vo shamil hua kahani men
ki is ke baad jo kirdar tha fasana hua
usi sitare ne bhatka diya sar-e-manzil
safar pe jo miri tahvil men ravana hua
suna hai tujh ko to ham yaad bhi nahin aate
ye imtihan to nahin ye to azmana hua
hamen to ishq muqaddar hai jaise rizq ‘salim’
so chal padenge jahan apna ab-o-dana hua
Leave a Reply