duur hai ba-huzur lagta hai
go hai mastur uur lagta hai
ab-o-nan-o-hava nahin kaafi
tere dil men futur lagta hai
ja rahe ho ḳhuda ke ghar ya.ani
vo tumhen ḳhud se duur lagta hai
garche hargiz mira qusur nahin
phir bhi mera qusur lagta hai
ek aalam pe bhi nahin raazi
ye dil na-subur lagta hai
zehn azad fikr hasti hai
jo guna ka tanur lagta hai
ek miTTi ka Dher hai vo to
jo tumhen koh-e-tur lagta hai
roz hota huun ham-kalam us se
roz yaum-e-nushur lagta hai
ḳhud phansate ho ḳhud chhuḌate ho
khel koi huzur lagta hai
Leave a Reply