tha vo jangal ki nagar yaad nahin
kya thi vo rahguzar yaad nahin
ye ḳhayal aata hai main ḳhush tha bahut
kis taraf tha mira ghar yaad nahin
kya thi vo shakl pe bholi thi bahut
pyara sa naam tha par yaad nahin
zaḳhmon ke phuul hain dil men ab bhi
kis ne baḳhshe the magar yaad nahin
ik ghani chhanv men din biita hai
shab kahan ki thi basar yaad nahin
ek lamha to dhaḌakta hai zarur
ka.i sadiyon ka safar yaad nahin
taaq the dastan kahne men ‘obaid’
ab ba-juz dida-e-tar yaad nahin
Leave a Reply