ruḳhsat-e-sham hai aur va.ade ka saaya bhi nahin
ab takalluf na karun ja ke taqaza ho ja.un
kab se huun maahi be aab zamane ki tarah
koi neki ho tire paas to dariya ho ja.un
kitne pechida masa.il ki thakan hai mujh men
ik zara soch luun tujh ko tar-o-taza ho ja.un
kitne pahlu hain ka.i rang chhupe hain mujh men
abhi aisa huun jo tu chahe to vaisa ho ja.un
apne siine men hain Thahri hui sansen kab se
zalzala ban ke to aa main tah-o-bala ho ja.un
vo rifaqat pe raza-mand nahin hai to na ho
kya main us shaḳhs ke hote hue tanha ho ja.un
be-yaqini hai kuchh imroz men itni ‘maz.har’
ji men aata hai ki andesha-e-farda ho ja.un
Leave a Reply