Zinda Rahte Hue Zindagi chhoD Di

zinda rahte hue zindagī chhoḌ dī

ik ḳhushī ke liye har ḳhushī chhoḌ dī

us ne tārīkiyoñ meñ jo chhoḌā mujhe

maiñ ne aisā kiyā raushnī chhoḌ dī

aisā chhoḌā ki saarā jahāñ luT gayā

haañ maiñ zinda rahā āshiqī chhoḌ dī

maiñ to patthar nahīñ aadmī huuñ miyāñ

kyoñ mire naam kī dushmanī chhoḌ dī

ranj-o-ġham se milāyā thā tū ne mujhe

tū batā dard meñ kyoñ kamī chhoḌ dī

jab bulāyā mujhe merī miTTī ne to

maiñ bhī tanhā chalā be-ruḳhī chhoḌ dī

Leave a Comment