dil ko rah-e-hayat men uljha raha huun main
kaise bhi apne-ap ko bahla raha huun main
rakh kar ke thoḌi duur kinare pe ye badan
dariya ke saath saath baha ja raha huun main
khiḌki pe ek baar to aa ja ki dekh luun
jaana tumhare shahr se ab ja raha huun main
matlab yahi hua ki mira bhi vajud hai
us a.ina men saaf nazar aa raha huun main
area paḌa hua huun main gard-e-zamin par
miTTi men tire lams ko dafna raha huun main
chaha tha tujh ko paanv men qismat se jiit kar
qismat se mil ga.e ho so Thukra raha huun main
Leave a Reply