vo aa gaya to saara pari-ḳhana ji uTha
ara.ish-e-jamal se a.ina ji uTha
mujh tak pahunch gaya to baḌi baat janiye
avaz-e-pa se jis ki mira ziina ji uTha
yaran-e-mai-kada jo kabhi yaad aa ga.e
mujh men ḳhumar-e-mahfil-e-parina ji uTha
the didani libason men tarshe hue badan
oḌhi jo us ne shaal to pashmina ji uTha
chaa.e ki mez par ga.i shamon ka zikr tha
mujh men bhi ik ta.alluq-e-derina ji uTha
Leave a Reply