varaq varaq jo zamane ke shahkar men tha
vo zindagi ka sahifa bhi intishar men tha
jise main DhunD raha tha nava-e-bulbul men
vo naghma pairahan-e-gul ke taar taar men tha
main qatl ho ke zamane men sarfaraz raha
ki meri jiit ka pahlu bhi meri haar men tha
kaleje saare daraḳhton ke sahme jaate the
hava ka ruḳh tha bhala kis ke iḳhtiyar men tha
vo na-shanas-vafa sej par tha phulon ki
main ashna-e-vafa dasht-e-ḳhar-ḳhar men tha
dayar-e-ghair men hasil thiin shohraten mujh ko
main ajnabi ki tarah apne hi dayar men tha
samajh raha tha main ḳhvabida ḳhud ko sahil par
khuli jab aankh to dariya ki tez dhaar men tha
nigah valon men us ka bharam na rah paaya
vo sang tha magar a.inon ki qatar men tha
mohabbaten thiin mire iḳhtiyar men lekin
mohabbaton ka sila us ke iḳhtiyar men tha
chamak raha vahi gauhar-e-vafa ban kar
‘guhar’ jo ashk miri chashm-e-intizar men tha
Leave a Reply