varaftagi-e-ishq na jaa.e to kya karen
tera bhi ab ḳhayal na aa.e to kya karen
ḳhud sharm-e-ishq dil ko miTa.e to kya karen
un tak nigah-e-shauq na jaa.e to kya karen
mai-ḳhvariyan gunah sahi saqi-e-azal
jab abr jhuum jhuum ke aa.e to kya karen
ye dair vo haram ye kalisa vo mai-kada
apni taraf har ek bula.e to kya karen
mumkin hai har ḳhayal ka dil se nikalna
tera ḳhayal aa ke na jaa.e to kya karen
maana nigah-e-shauq rahe ehtiyat se
har jalva ḳhud nazar men sama.e to kya karen
‘basit’ sitam pe shukr-e-sitam chahiye magar
koi karam se ham ko miTa.e to kya karen
Leave a Reply