• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ranai-E-Kaunain Se Be-Zar Hamin The

Ranai-E-Kaunain Se Be-Zar Hamin The

rana.i-e-kaunain se be-zar hamin the

ham the tire jalvon ke talabgar hamin the

hai farq talabgar o parastar men ai dost

duniya thi talabgar parastar hamin the

is banda-navazi ke tasadduq sar-e-mahshar

goya tiri rahmat ke saza-var hamin the

de de ke nigahon ko tasavvur ka sahara

raton ko tire vaste bedar hamin the

bazar-e-azal yuun to bahut garm tha lekin

le de ke mohabbat ke ḳharidar hamin the

khaTke hain tire saare gulistan ki nazar men

sab apni jagah phuul the ik ḳhaar hamin the

haan aap ko dekha tha mohabbat se hamin ne

ji saare zamane ke gunahgar hamin the

hai aaj vo surat ki bana.e nahin banti

kal naqsh-e-do-alam ke qalamkar hamin the

pachhtaoge dekho hamen begana samajh kar

manoge kisi vaqt ki gham-ḳhvar hamin the

arbab-e-vatan ḳhush hain hamen dil se bhula kar

jaise nigah o dil pe bas ik baar hamin the

‘ehsan’ hai be-sud gila un ki jafa ka

chaha tha unhen ham ne ḳhata-var hamin the

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ye Izn-E-Jast Faqat Ek Bahana Hota Hai

Dil Ke Daghon Mein Sitaron Ki Chamak Baqi Hai

Ashk Yun Bahte Hain Sawan Ki jhaDi Ho Jaise

poet

Kya Shikwa Karen Tohmat-E-Be-Baal-O-Pari Ka

Qafas Pe Barq Gire Aur Chaman Ko Aag Lage

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet