qarya-e-vahm-o-guman tak aa.e
ham tire saath kahan tak aa.e
apni kam-zarfi ka iz.har karun
raz-e-sar-basta zaban tak aa.e
baat kar di to pashemani kya
tiir vapas na kaman tak aa.e
pyaas jo apni bujhana chahe
halqa-e-tishna-laban tak aa.e
abhi jaari hai nahin ki gardan
dekhiye kaise vo haan tak aa.e
mutma.in phirte hain yuun sahra men
jaise ham ab-e-ravan tak aa.e
ham baharon ki talab men ‘nasir’
aḳhirash shahar-e-ḳhizan tak aa.e
Leave a Reply