us ko dekha tha faqat do-char lamhon ke liye
ho ga.e tanha jahan men kitni sadiyon ke liye
raat ka pichhla pahar mujh ko basharat de gaya
aa rahi hai raushni tarik galiyon ke liye
koi si rut ho sada paaya hai un ko sogvar
mausamon ka qahr hai ma.asum patton ke liye
ab koi chehra koi manzar hamen rokega kya
uTh chuke apne qadam pur-pech raston ke liye
ek gul hai tujh ko pyara ek gul mujh ko aziiz
kitne pagal ho ga.e ham log rangon ke liye
jin ka saaya maaon ki aghosh se kuchh kam na tha
qatl ke ahkam hain ab un daraḳhton ke liye
ab na.e pahlu se dekha chahiye bahar ka rang
muntaḳhab kiije na.i jag.hen darichon ke liye
zaat ke tarik gharon men dariche kholiye
rasta koi to ho suraj ki kirnon ke liye
kijiye ‘betab’ raushan apni palkon par diye
raushni darkar hai be-nur kamron ke liye
Leave a Reply