use ma.alum hai sab kuchh vahi hai raz-dan apna
magar mujh se hi sunna chahta hai vo bayan apna
yahan par shaan jaati hai vahan par jaan jaati hai
zamin chhuTi to lagta hai ki chhuTa asman apna
jo guzra hai so guzra hai jo aa.ega so aa.ega
jo ab hai vo bhala kab hai koi lamha kahan apna
main jis ke dil men rahta huun main jis ki dhun men raqsan huun
vo apni dhun pe gaata hai to hota hai guman apna
vahan ḳhamosh baiThe the yahan to baat karte hain
vahan kyuun tha ziyan apna yahan kyon ho ziyan apna
ye sadiyan biit jaati hain magar lamhe nahin kaTte
jo ghaTta hai to baḌh jaata hai kuchh bar-e-garan apna
Leave a Reply