ḳhush-fahmiyon ko ghaur ka yaara nahin raha
tufan ki zad se duur kinara nahin raha
baḌh baḌh ke DhunDhte hain panahen na.i na.i
fitnon ko tirgi ka sahara nahin raha
biita bayan baha-e-tamanna baḌha ga.iin
naqd-e-sukun ganva ke ḳhasara nahin raha
baaqi tha jis ke dam se bharam ehtiyaj ka
himmat ko vo karam bhi gavara nahin raha
nazan hai apni fat.h pe is tarah maut aaj
jaise koi hayat ka maara nahin raha
ḳhurshid inqalab ka a.ina ho to ho
mizhgan se gir ke ashk sitara nahin raha
‘yaqub’ lamhe lamhe se zahir hai be-ruḳhi
sahil-navaz vaqt ka dhara nahin raha
Leave a Reply