pattharon se na kabhi TuuT ke ulfat karna
jism shishe ka nahin phir bhi hifazat karna
ab na chhu lena kabhi phuul se ruḳhsaron ko
ungliyan apni jalane ki na zahmat karna
jhukne dena na kisi peḌ ki shaḳhon ka ghurur
Dhalte suraj se zara si to muravvat karna
ab jo bikhre hain dar-o-bam to hairat kaisi
ham ne sikha hi na tha ghar ki hifazat karna
laakh maujen hon muḳhalif ki hava ho naraz
paar is baar bhi dariya kisi surat karna
Leave a Reply